Ahmad Mushtaq

tum aae ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hun

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
tum aa.e ho tumheñ bhī aazmā kar dekh letā huuñ
tumhāre saath bhī kuchh duur jā kar dekh letā huuñ
havā.eñ jin kī andhī khiḌkiyoñ par sar paTaktī haiñ
maiñ un kamroñ meñ phir sham.eñ jalā kar dekh letā huuñ
ajab kyā is qarīne se koī sūrat nikal aa.e
tirī bātoñ ko ḳhvāboñ se milā kar dekh letā huuñ
sahar-dam kirchiyāñ TuuTe hue ḳhvāboñ kī miltī haiñ
to bistar jhaaḌ kar chādar haTā kar dekh letā huuñ
bahut dil ko dukhātā hai kabhī jab dard-e-mahjūrī
tirī yādoñ kī jānib muskurā kar dekh letā huuñ
uḌā kar rañg kuchh hoñToñ se kuchh āñkhoñ se kuchh dil se
ga.e lamhoñ ko tasvīreñ banā kar dekh letā huuñ
nahīñ ho tum bhī vo ab mujh se yaaro kyā chhupāoge
havā kī samt ko miTTī uḌā kar dekh letā huuñ
sunā hai be-niyāzī hī ilāj-e-nā-umīdī hai
ye nusḳha bhī koī din aazmā kar dekh letā huuñ
mohabbat mar ga.ī 'mushtāq' lekin tum na mānoge
maiñ ye afvāh bhī tum ko sunā kar dekh letā huuñ
Top Urdushayar.com