bahe saath ashk ke laḳht-e-jigar tak
na kī us ne mirī jānib nazar tak
abas sayyād ko hai bad-gumānī
nahīñ baazū meñ apne ek par tak
ḳhabar aa.ī marīz-e-dard-o-ġham kī
kahīñ pahuñche ḳhabar us be-ḳhabar tak
nazākat se lagī bal karne kyā kyā
abhī gesū na pahuñche the kamar tak
jiye jaate haiñ shakl-e-sham-e-sozāñ
na kuchh baaqī raheñge ham sahar tak
agar maiñ yaad hotā to na aate
magar bhūle se aa.e mere ghar tak
dam-e-girya thī ġhālib nā-tavānī
pahuñchte laḳht-e-dil kyā chashm-e-tar tak
ḳhudā jaane 'asar' ko kyā huā hai
rahā kartā hai chup do do pahar tak