Imdad Imam Asar

gham nahin mujhko jo waqt-e-imtihan mara gaya

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
ġham nahīñ mujh ko jo vaqt-e-imtihāñ maarā gayā
ḳhush huuñ tere haath se ai jān-e-jāñ maarā gayā
teġh-e-abrū se dil-e-āshiq ko miltī kyā panāh
jo chaḌhā muñh par ajal ke be-gumāñ maarā gayā
manzil-e-ma.ashūq tak pahuñchā salāmat kab koī
rahzanoñ se kārvāñ kā kārvāñ maarā gayā
dostī kī tum ne dushman se ajab tum dost ho
maiñ tumhārī dostī meñ mehrbāñ maarā gayā
zahr se kuchh kam na thī dāvat mirī ġhairoñ ke saath
kyā ġhazab hai ghar balā kar mehmāñ maarā gayā
dasht-e-ġhurbat rañj-e-tanhā.ī hujūm-e-dard-o-yās
in balāoñ meñ tirā āshiq kahāñ maarā gayā
kyā halāk-e-ishq tere gesuoñ kā thā 'asar'
sumbulistāñ ho gayā hai do-jahāñ maarā gayā
Top Urdushayar.com