Imdad Imam Asar

kab ghair hua mahw teri jalwagari ka

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
kab ġhair huā mahv tirī jalvagarī kā
tū pūchh mire dil se maza be-ḳhabarī kā
saudā jo gul-o-lāla ko hai jeb-darī kā
adnā ye shagūfa hai nasīm-e-saharī kā
kis ne lab-e-bām aa ke dikhāyā ruḳh-e-raushan
ḳhurshīd meñ hai rañg charāġh-e-saharī kā
apnī ye ġhazal hai ki paristān-e-suḳhan hai
parvāz-e-mazāmīñ meñ hai andāz parī kā
kuchh kam nahīñ nāzuk mire mazmūn-e-kamar se
shohra hai bajā yaar kī nāzuk-kamarī kā
ik raat bhī ai maah na jaagī mirī qismat
suntā thā bahut shor duā-e-saharī kā
jis ne mujhe āgāh kiyā hāl-e-jahāñ se
kyā lutf jamādāt ko hai be-ḳhabarī kā
ġhurbat meñ milā lutf kahīñ baḌh ke vatan se
hāsil jo huā tujh se mazā ham-safarī kā
us maah kī mahfil meñ jo hai qahqaha-zan aaj
hotā hai bat-e-mai pe gumāñ kabk-e-darī kā
qur.ān kahe detā hai ki ham haq kī zabāñ haiñ
hotā hai judā taur kalām-e-bashrī kā
aadam kī to maañ bhī na thī ai munkir-e-e.ajāz
iisā ko milā sirf sharaf be-pidrī kā
sarv-e-qad-e-dilbar kī jo tasvīr hai dil par
ham-sañg nahīñ la.al-e-aqīq-e-shajarī kā
āñkheñ haiñ hasīnoñ kī tire sabza-e-ruḳh par
kyūñki na ho mailān ġhazāloñ ko charī kā
chal tū bhī 'asar' le ke matā-e-dil-e-betāb
vo dekhne jaate haiñ tamāshā guzarī kā
Top Urdushayar.com