Imdad Imam Asar

dil se kya puchhta hai zulf-e-girah-gir se puchh

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
dil se kyā pūchhtā hai zulf-e-girah-gīr se pūchh
apne dīvāne kā ahvāl tū zanjīr se pūchh
merī jāñ-bāzī ke jauhar nahīñ raushan tujh par
kuchh khule haiñ tirī shamshīr pe shamshīr se pūchh
pursish-e-hāl ko jaatī hai kahāñ ai lailā
qais kī shakl hai kyā qais kī tasvīr se pūchh
vāqif-e-rāz nahīñ pīr-e-muġhāñ sā koī
hai dilā pūchhnā jo kuchh tujhe us piir se pūchh
vāqif-e-lazzat-e-āzār nahīñ har koī
kyā mazā ġham meñ hai ye āshiq-e-dil-gīr se pūchh
garmī-e-shauq nahīñ hai to dahan meñ ai sham.a
kis liye terī zabāñ letā hai gul-gīr se pūchh
ulTī kyuuñ paḌtī hai tadbīr ye ham kyā jāneñ
kaun ulaT detā hai is raaz ko tadbīr se pūchh
mujh se ai dāvar-e-mahshar hai ye pursish kaisī
pūchhnā hai tujhe jo kuchh mirī taqdīr se pūchh
yuuñ to ustād-e-fan-e-sher bahut se guzre
kis ko kahte haiñ ġhazal-goī 'asar' 'mīr' se pūchh
Top Urdushayar.com