dil sañg nahīñ hai ki sitamgar na bhar aatā
karte na agar zabt to muñh tak jigar aatā
tū fātiha-ḳhvānī ko agar qabr par aatā
marne se mire ġhair kā matlab na bar aatā
ai qais agar dasht meñ tū raah par aatā
sau baar tujhe nāqa-e-lailā nazar aatā
taḳhsīs na thī tuur kī ai hazrat-e-mūsā
har sañg meñ vo nūr-e-tajallī nazar aatā
hotī chaman-ārā-e-azal kī jo mashiyyat
apne shajar-e-ishq kā vaqt-e-samar aatā
be-kār na kar raat basar muntazarī meñ
aanā use hotā to vo ab tak 'asar' aatā