rote haiñ sun ke kahānī merī
kaash sunte vo zabānī merī
kaT gayā ġhair mare nāloñ se
vāh-rī saif-zabānī merī
aa.ina dekh ke farmāte haiñ
kis ġhazab kī hai javānī merī
phir tumheñ niiñd nahīñ aane kī
kahīñ sun lī jo kahānī merī
baar kiyā paañv tirī mahfil meñ
hai subuk tujh pe girānī merī
hama-tan-gosh bane sunte haiñ
ġhair kahtā hai kahānī merī
yaad ā.ūñgā jafā-kāroñ ko
be-nishānī hai nishānī merī
iltijā ek muqaddar do the
ġhair kī maanī na maanī merī
hashr meñ kuchh na huā mujh se savāl
vāh-rī hech-madānī merī
ab uTheñge tire dar se mar kar
kabhī uThtī nahīñ Thānī merī
mere ash.ār fuġhān-e-dil haiñ
qadr kartā hai 'fuġhānī' merī
ḳhusrav-e-mulk-e-suḳhan-dānī huuñ
daad hai bāj-satānī merī
dil meñ poshīda rahegī kab tak
ātish-e-shauq-e-nihānī merī
tār-e-gesū se nazar jā uljhī
dekhnā resha-davānī merī
dil kī hālat se ḳhabar detī hai
'asar' āshufta-bayānī merī