Imdad Imam Asar

Thikana hai kahin jaen kahan na-chaar baiThe hain

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
Thikānā hai kahīñ jaa.eñ kahāñ nā-chār baiThe haiñ
ijāzat jab nahīñ dar kī pas-e-dīvār baiThe haiñ
ye matlab hai ki mahfil meñ manā.e aur man jaa.eñ
vo mere chheḌne ko ġhair se bezār baiThe haiñ
ḳharīdār aa rahe haiñ har taraf se naqd-e-jāñ le kar
vo yūsuf ban ke bikne ko sar-e-bāzār baiThe haiñ
achānak le na luuñ bosa ye khaTkā un ke dil meñ hai
mire pahlū meñ baiThe haiñ magar hoshyār baiThe haiñ
tumhāre āshiqoñ meñ be-qarārī kyā hī phailī hai
jidhar dekho jigar thāme hue do-chār baiThe haiñ
qayāmat hai sitam murde pe bhī un ko gavārā hai
mirā lāsha uThāne ke liye aġhyār baiThe haiñ
lab-e-bām aa ke dikhlā vo tamāshā tuur kā tum bhī
baḌe mauqe se dar par tālib-e-dīdār baiThe haiñ
'asar' kyūñ-kar na jānūñ us ke dar ko qibla-e-ālam
usī jānib ka.ī ruḳh kāfir o dīñ-dār baiThe haiñ
Top Urdushayar.com