yūñhī uljhī rahne do kyuuñ aafat sar par laate ho
dil kī uljhan baḌhtī hai jab zulfoñ ko suljhāte ho
chhup chhup kar tum raat ko sāhib ġhairoñ ke ghar jaate ho
kaisī hai ye baat kaho to kyūñ-kar muñh dikhlāte ho
sunte ho kab baat kisī kī apnī haT par rahte ho
hazrat-e-dil tum apne kiye par āḳhir ko pachhtāte ho
muddat par to aa.e ho ham dekh leñ tum ko jī bhar ke
aa.e ho to Thahro sāhib roz yahāñ kyā aate ho
kaisā aanā kaisā jaanā mere ghar kyā aaoge
ġhairoñ ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho
āñkheñ jhapkī jaatī haiñ matvālī kī sī sūrat hai
jaage kis kī sohbat meñ jo niiñd ke itne maate ho
dil se 'asar' kyā kahte ho hai jaan kā saudā ishq-e-butāñ
tum bhī to dīvāne ho dīvāne ko samjhāte ho