Imdad Imam Asar

kisi ka dil ko raha intizar sari raat

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
kisī kā dil ko rahā intizār saarī raat
falak ko dekhā kiye baar baar saarī raat
taḌap taḌap ke tamannā meñ karvaTeñ badlīñ
na paayā dil ne hamāre qarār saarī raat
idhar to sham.a thī giryāñ udhar the ham giryāñ
isī tarah pe rahe ashk-bār saarī raat
ḳhayāl-e-sham-ruḳh-e-yār meñ jale tā-sub.h
liyā qarār na parvāna-vār saarī raat
na pūchh soz-e-judā.ī ko ham se ai hamdam
jalā kiyā ye dil-e-dāġhdār saarī raat
mizha ke ishq se aa.ī na niiñd āñkhoñ meñ
nazar khaTaktī rahī ban ke ḳhaar saarī raat
ḳhayāl-e-zulf-e-siyah meñ bahā kiye aañsū
bañdhā rahā mire rone kā taar saarī raat
na pūchh ham se 'asar' raat kis tarah kaaTī
ajab tarah kā rahā intishār saarī raat
Top Urdushayar.com