Ahmad Mushtaq

monis-e-dil koi naghma koi tahrir nahin

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
monis-e-dil koī naġhma koī tahrīr nahīñ
harf meñ ras nahīñ āvāz meñ tāsīr nahīñ
aa hī jaatā hai ujaḌtī huī duniyā kā ḳhayāl
bāvar aayā ki tirā dard hama-gīr nahīñ
hijr ik vaqfa-e-bedār hai do nīndoñ meñ
vasl ik ḳhvāb hai jis kī koī ta.abīr nahīñ
mere atrāf ye zanjīr-r-alā.eq kaisī
zindagī jurm sahī qābil-e-tāzīr nahīñ
kis tarah paa.eñ is afsurda-mizājī se najāt
hamdamo ham-suḳhano kyā koī tadbīr nahīñ
Top Urdushayar.com