Imdad Imam Asar

qaid-e-tan se ruh hai nashad kya

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
qaid-e-tan se ruuh hai nāshād kyā
chand-roza umr kī mī.ād kyā
merī iizā se adū ho shaad kyā
tujh pe takiya o sitam-ījād kyā
un kī ḳhātir jaa.eñ bazm-e-ġhair meñ
ārzū-e-jannat-e-shaddād kyā
pā rahā hai dil musībat ke maze
aa.e lab par shikva-e-bedād kyā
dil meñ jo aa.e use kah Dāliye
aap kī bāteñ kareñge yaad kyā
dosto aa.e haiñ vo dushman ke saath
mujh ko dete ho mubārakbād kyā
jab nahīñ kuchh e'tibār-e-zindagī
is jahāñ kā shaad kyā nāshād kyā
kuchh agar tāsīr rakhtī hai to khīñch
varna ai dil hāsil-e-fariyād kyā
jab ba-rañg-e-gul hai pāband-e-makāñ
bāñdhte haiñ sarv ko āzād kyā
hai tirā pāmāl har naḳhl-e-chaman
tere aage sarv kyā shamshād kyā
yaar kī tasvīr dil par khīñch lī
khīñchte ham minnat-e-bahzād kyā
ġhair dil se ek dam jaatā nahīñ
ham tujhe aa.eñ sitamgar yaad kyā
mujh se pahle sun chuke haiñ ġhair kī
vo mire haq meñ kareñ irshād kyā
sar Tapakte haiñ asīrān-e-qafas
hai chaman kī ai sabā rūdād kyā
āshiqī hai sar pe lenā koh-e-ġham
nāzish-e-sar bāzī-e-farhād kyā
arz apnī hai jo hai arz-e-adū
dekhiye karte haiñ vo irshād kyā
sar-kashī tujh se kare kyā taab hai
aadmī kī ai ḳhudā buniyād kyā
be-haqīqat jaan kar dil ko 'asar'
to ne ai nādāñ kiyā barbād kyā
Top Urdushayar.com