Imdad Imam Asar

shaiKH ke haal par tassuf hai

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
shaiḳh ke haal par ta.assuf hai
shakl-e-rozī kī ik tasavvuf hai
jis kī auqāt ho tasavvuf par
us ke is rozgār par tuf hai
jin ko da.avā hai haq-shanāsī kā
un se bande ko bhī ta.āruf hai
na to irfāñ ke un meñ haiñ andāz
ma.arifat se na kuchh tasharruf hai
kaisī ta.amīl-e-hukm ḳhāliq kī
kaisā islām sad-ta.assuf hai
kaun se amar-e-dīñ ko koī kahe
diin kā diin hī tasavvuf hai
dīn-e-ahmad se ho jo bāhar baat
vahī is ahd meñ tasavvuf hai
maal jo kuchh hai bevaqūfoñ kā
shaiḳh kā maal be-takalluf hai
hai 'asar' ye tasarruf-e-be-jā
aur koī nahīñ tasarruf hai
Top Urdushayar.com