jafā.eñ hotī haiñ ghuTtā hai dam aisā bhī hotā hai
magar ham par jo hai terā sitam aisā bhī hotā hai
adū ke aate hī raunaq sidhārī terī mahfil kī
ma.āz-allāh insāñ kā qadam aisā bhī hotā hai
rukāvaT hai ḳhalish hai chheḌ hai iizā pe iizā hai
sitam ahl-e-vafā par dam-ba-dam aisā bhī hotā hai
hasīnoñ kī jafā.eñ bhī talavvun se nahīñ ḳhālī
sitam ke ba.ad karte haiñ karam aisā bhī hotā hai
dil-e-mahjūr āḳhir intihā hai har nahūsat kī
kabhī sa.aden hote haiñ baham aisā bhī hotā hai
na kar shikva hamārī be-sabab kī bad-gumānī kā
mohabbat meñ tire sar kī qasam aisā bhī hotā hai
na ho dard-e-judā.ī se jo vāqif us ko kyā kahiye
hameñ vo dekh kar kahte haiñ ġham aisā bhī hotā hai
butoñ ke milne-julne par na jaanā ai dil-e-nādāñ
baḌhā kar rabt kar dete haiñ kam aisā bhī hotā hai
hameñ bazm-e-adū meñ vo bulāte haiñ tamannā se
karam aisā bhī hotā hai sitam aisā bhī hotā hai
jagah dī mujh ko ka.abe meñ ḳhudā-e-pāk ne zāhid
tū kahtā thā ki maqbūl-e-haram aisā bhī hotā hai
huā kartā hai sab kuchh ai 'asar' us kī ḳhudā.ī meñ
kareñ da.avā ḳhudā.ī kā sanam aisā bhī hotā hai