Imdad Imam Asar

mere sar mein jo raat chakkar tha

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
mere sar meñ jo raat chakkar thā
us ke zaanū pe ġhair kā sar thā
apne ghar un ko kyā bulāte ham
boriyā bhī nahīñ mayassar thā
zabt-e-dil par bhī us kī mahfil meñ
apnā rūmāl ashk se tar thā
jaan dene meñ soch kyā karte
muflisī par bhī dil tavañgar thā
ḳhūb-o-zisht-e-jahāñ kā farq na pūchh
maut jab aa.ī sab barābar thā
aap jab tak na le chuke the dil
kuchh mizāj aur banda-parvar thā
hijr lāhiq huā visāl ke ba.ad
kyā hī ulTā mirā muqaddar thā
jaur-e-a.adā kī taab kyā laatā
dil-e-kam-baḳht nāz-parvar thā
sohbat-e-hūr se huī nafrat
maiñ jo terī adā kā ḳhūgar thā
hai 'asar' yā nahīñ ḳhudā jaane
sunte haiñ us kā haal abtar thā
Top Urdushayar.com