jhūTe va.adoñ par tumhārī jaa.eñ kyā
jānte haiñ tum ko dhokā khā.eñ kyā
pursish apne qatl kī hone lagī
dāvar-e-mahshar ko ham batlā.eñ kyā
un kī mahfil hairat-e-ālam sahī
ġhair ham-pahlū jahāñ ho jaa.eñ kyā
ḳhūn-e-dil khāne se kuchh inkār hai
jab nahīñ ai lazzat-e-ġham khā.eñ kyā
nāseh-e-mushfiq ko samjhānā paḌā
is samajh par tum ko vo samjhā.eñ kyā
ġhair ne rah kar jahannam kar diyā
haiñ musalmāñ tere ghar ham aa.eñ kyā
ham se un se baat kyā baaqī rahī
ham kaheñ kyā aur vo farmā.eñ kyā
hai pashemānī meñ iqrār-e-ḳhatā
qatl kar ke mujh ko vo pachhtā.eñ kyā
ā.eñge phir bhī vahī ishrat ke din
inqilāb-e-dahr se ghabrā.eñ kyā
mar hī kar uTTheñge tere dar se ham
aa ke jab baiThe to phir uTh jaa.eñ kyā
dil ko kho.e ek muddat ho ga.ī
ai 'asar' ab DhūñDne se paa.eñ kyā