Imdad Imam Asar

jab KHuda ko jahan basana tha

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
jab ḳhudā ko jahāñ basānā thā
tujh ko aisā nahīñ banānā thā
mere ghar terā aanā jaanā thā
vo bhī ai yaar kyā zamāna thā
phir ga.e aap mere kūche se
do qadam par ġharīb-ḳhāna thā
jo na samjhe ki āshiqī kyā hai
us se be-kār dil lagānā thā
aa.e the baḳht āzmāne ham
aap ko teġh āzmānā thā
ai sitamgār qabr-e-āshiq par
chand aañsū tujhe bahānā thā
tū ne rahne diyā pas-e-dīvār
varna apnā kahāñ Thikānā thā
ab jahāñ par hai shaiḳh kī masjid
pahle us jā sharāb-ḳhāna thā
daḳhl ahl-e-riyā na rakhte the
pāk-bāzoñ kā aanā jaanā thā
bazm meñ ġhair ko na bulvāte
aap ko jab hameñ bulānā thā
vo chaman ab ḳhizāñ-rasīda hai
bulbuloñ kā jahāñ tarāna thā
sunte haiñ vo shajar bhī suukh gayā
jis pe sayyād āshiyāna thā
dil na dete use to kyā karte
ai 'asar' dukh hameñ uThānā thā
Top Urdushayar.com