mahfil meñ us pe raat jo tū mehrbāñ na thā
aisā subuk thā ġhair ki kuchh bhī girāñ na thā
vasl-e-butāñ meñ ḳhauf-e-firāq-e-butāñ na thā
goyā ki apne sar pe kabhī āsmāñ na thā
pesh-e-raqīb pursish-e-dil tum ne ḳhuub kī
dushman thā parda-dār na thā rāz-dāñ na thā
ibrat dilā chukī thī hamārī sitam-kashī
mutlaq shab-e-visāl adū shādmāñ na thā
bigḌe hue raqīb se vo aa.e mere ghar
is husn-e-ittifāq kā koī gumāñ na thā
sargarm-e-nāla kyuuñ rahī bulbul bahār meñ
kyā ham na the asiir ki zauq-e-fuġhāñ na thā
sarshār-e-be-ḳhudī the 'asar' bazm-e-yār meñ
kyā jāneñ ham raqīb kahāñ thā kahāñ na thā