kyuuñ dekhiye na husn-e-ḳhudā-dād kī taraf
lāzim nazar hai gulshan-e-ījād kī taraf
paa.e jo tere gosha-e-dastār kī havā
qumrī uḌī na turra-e-shamshād kī taraf
be-asl ai falak nazar aatā hai tū mujhe
kartā huuñ ġhaur jab tirī buniyād kī taraf
gulshan meñ kaun bulbul-e-nālāñ ko de panāh
gulchīñ o bāġhbāñ bhī haiñ sayyād kī taraf
mazlūm huuñ magar nahīñ miltā koī gavāh
haiñ ahl-e-hashr is sitam-ījād kī taraf
nādāñ kahīñ panāh nahīñ maut se tujhe
kyā dekhtā hai qila-e-faulād kī taraf
ham-jins ko zarūr hai ham-jins kā ḳhayāl
raġhbat na ho bashar ko parī-zād kī taraf
mazmūñ kamar kā haath na aayā jo dahr meñ
jaanā paḌā mujhe adam-ābād kī taraf
taklīf jū-e-shīr kī de kar jo thī ḳhajil
shīrīñ na dekh saktī thī farhād kī taraf
dīvāngī kā zor tamāshā hai ai parī
fassād kī nigāh hai haddād kī taraf
gardan jhukā.e shauq-e-shahādat meñ huuñ ravāñ
dil le chalā hai kūcha-e-jallād kī taraf
umīd-vār chashm-e-ināyat kā hai ġharīb
dekho to ik nazar dil-e-nāshād kī taraf
nāseh agar sitam na saheñ ham to kyā kareñ
dil dauḌtā hai yaar kī be-dād kī taraf
bulbul samajh rahī hai ki gulhā-e-ḳhanda-rū
rakhte haiñ kaan nāla-o-fariyād kī taraf
fazl-e-ḳhudā se apnī tabī.at hai be-niyāz
rū-e-talab kabhī na huā daad kī taraf
vaa.iz se sun ke qāmat-e-tauba kī ḳhūbiyāñ
dauḌā ḳhayāl ik qad-e-āzād kī taraf
bhūle hue haiñ saare zamāne kī nemateñ
mailān-e-dil jinheñ hai terī yaad kī taraf
yā shāh-e-jinn-o-ins 'asar' par bhī ik nazar
rakhtā hai aañkh aap kī imdād kī taraf