baras kar khul gayā abr-e-ḳhizāñ āhista āhista
havā meñ saañs lete haiñ makāñ āhista āhista
bahut arsa lagā rañg-e-shafaq ma.adūm hone meñ
huā tārīk niilā āsmāñ āhista āhista
kahīñ pattoñ ke andar dhīmī dhīmī sarsarāhaT hai
abhī hilne lageñgī Dāliyāñ āhista āhista
jahāñ Daale the us ne dhuup meñ kapḌe sukhāne ko
Tapaktī haiñ abhī tak rassiyāñ āhista āhista
samā.at meñ abhī tak āhaToñ ke phuul khilte haiñ
koī chaltā hai dil ke darmiyāñ āhista āhista
badal jā.egā mausam dard kī shāḳh-e-barahana meñ
nikaltī aa rahī haiñ pattiyāñ āhista āhista