suulī chaḌhe jo yaar ke qad par fidā na ho
phāñsī chaḌhe jo qaidī-e-zulf-e-rasā na ho
mazmūñ vo kyā jo lazzat-e-ġham se bharā na ho
shā.er vo kyā kalām meñ jis ke mazā na ho
bad-nām mere vāste vo dilrubā na ho
yā-rab adū ke haath se merī qazā na ho
jab apnī koī baat baġhair-az-duā na ho
dushman ke kahne sunñe se nādāñ ḳhafā na ho
ho vo agar ḳhilāf-e-muāfiq havā na ho
Duube vo naav jis kā ḳhudā nāḳhudā na ho
dil-dādgī ko husn-e-ḳhudā-dād kam nahīñ
nāseh agar nahīñ hai butoñ meñ vafā na ho
roz-e-jazā vo shoḳh mile ham ko ai ḳhudā
is ke sivā kuchh aur adū kī sazā na ho
mushkil kā sāmnā ho to himmat na hāriye
himmat hai shart sāhib-e-himmat se kyā na ho
but āzarān-e-vaqt banā.eñ agar hazār
terā nazīr ek bhī naam ḳhudā na ho
dhoke meñ mere qatl kyā us ne ġhair ko
qātil kā kyā qusūr jo merī qazā na ho
sach hai ki har kamāl ko duniyā meñ hai zavāl
aisā baḌā hai kaun jo āḳhir ghaTā na ho
roz-e-jazā se vā.iz-e-nādān use Darā
sadma shab-e-firāq kā jis ne sahā na ho
miltā nahīñ patā tire chhalle ke chor kā
ai gul-badan ye shoḳhī-e-duzd-e-hinā na ho
terā gila na ġhair kā shikva zabāñ pe hai
kartā huuñ arz hāl-e-sitamgar ḳhafā na ho
paate haiñ kaj-sarisht jazā apne fe.al kī
kahtī hai rāstī ki bure kā bhalā na ho
bulbul na phuul ḳhanda-e-sub.h-e-bahār par
nādāñ kahīñ ye ḳhanda-e-dandāñ-numā na ho
terī zabāñ pe aa.e agar harf-e-iltiyām
kyuuñ kar shikast-e-dil ke liye momyā na ho
ġhāfil marīz-e-ishq kī tū ne ḳhabar na lī
thā ġhair us kā haal vo ab tak ho yā na ho
sharminda ai karīm na hoñ āshiqoñ meñ ham
pursish hamāre qatl kī roz-e-jazā na ho
kartā hai ai 'asar' dil-e-ḳhūñ-gashta kā gila
āshiq vo kyā ki ḳhasta-e-teġh-e-jafā na ho