Imdad Imam Asar

husn ki jins KHaridar liye phirti hai

Imdad Imam Asar

Patna, Bihar, India

1849-1933
husn kī jins ḳharīdār liye phirtī hai
saath bāzār kā bāzār liye phirtī hai
dar-ba-dar hasrat-e-dildār liye phirtī hai
sar-e-har-kūcha-o-bāzār liye phirtī hai
adam-ābād meñ aane kā sabab hai zāhir
justujū-e-kamar-e-yār liye phirtī hai
dil-e-sozāñ se nahīñ koī nishān-e-zulmat
mash.al-e-āh-e-shab-e-tār liye phirtī hai
aate hī fasl-e-ḳhizāñ bulbul-e-shaidā bahkī
har taraf gul kī jagah ḳhaar liye phirtī hai
dair o masjid meñ tamann-e-ziyārat kis kī
tum ko ai kāfir o dīñ-dār liye phirtī hai
dasht meñ qais ko kyā aa.e nazar jab lailā
saath meñ gard kī dīvār liye phirtī hai
daur-e-sāġhar meñ nahīñ kaf sar-e-bāda saaqī
duḳht-e-raz shaiḳh kī dastār liye phirtī hai
ḳhūn-e-farhād se bechain hai rūh-e-shīrīñ
be-sutūñ se bhī girāñ-bār liye phirtī hai
gul se kyuuñ kah nahīñ detī hai payām-e-bulbul
apne sar bād-e-sabā baar liye phirtī hai
māntā hī nahīñ lailā ki kare kyā lailā
saath meñ qais ko nā-chār liye phirtī hai
sadma pahuñchā kisī gul ko ki chaman meñ bulbul
ḳhuuñ meñ Duubī huī minqār liye phirtī hai
kushta-e-nāz kī turbat na milegī bulbul
phuul minqār meñ be-kār liye phirtī hai
tā.ir-e-dil ko havā-e-ḳham-e-zulf-e-sayyād
sūrat-e-murġh-e-giraftār liye phirtī hai
jumbishe-e-pā se hai galiyoñ meñ qayāmat barpā
saath mahshar tirī raftār liye phirtī hai
kohkan ḳhud to subuk-dosh huaa, par shīrīñ
sar pe ilzām kā kohsār liye phirtī hai
dasht-e-ġhurbat meñ nahīñ phirtā huuñ ḳhud āvāra
gardish-e-charḳh-e-sitamgār liye phirtī hai
saath duniyā kā nahīñ tālib-e-duniyā dete
apne kuttoñ ko ye murdār liye phirtī hai
hasrat-e-dīd 'asar' hazrat-e-'ātish' kī tarah
pesh-e-rauzan pas-e-dīvār liye phirtī hai
Top Urdushayar.com