bahut ruk ruk ke chaltī hai havā ḳhālī makānoñ meñ
bujhe TukḌe paḌe haiñ sigreToñ ke rākh-dānoñ meñ
dhueñ se āsmāñ kā rañg mailā hotā jaatā hai
hare jañgal badalte jā rahe haiñ kār-ḳhānoñ meñ
bhalī lagtī hai āñkhoñ ko na.e phūloñ kī rañgat bhī
purāne zamzame bhī gūñjte rahte haiñ kānoñ meñ
vahī gulshan hai lekin vaqt kī parvāz to dekho
koī taa.ir nahīñ pichhle baras ke āshiyānoñ meñ
zabānoñ par ulajhte dostoñ ko kaun samjhā.e
mohabbat kī zabāñ mumtāz hai saarī zabānoñ meñ