Ahmad Mushtaq

manzar-e-subh dikhane use laya na gaya

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
manzar-e-sub.h dikhāne use laayā na gayā
aatī jaatī rahīñ shāmeñ koī aayā na gayā
raat bistar pe khule chāñd meñ sotā thā koī
maiñ ne chāhā ki jagā.ūñ to jagāyā na gayā
ek muddat use dekhā use chāhā lekin
vo kabhī paas se guzrā to bulāyā na gayā
ghere rahtī thī use ek jahāñ kī nazreñ
phir jo dekhā to vo us aan meñ paayā na gayā
sar uThāte hī kaḌī dhuup kī yalġhār huī
do qadam bhī kisī dīvār kā saayā na gayā
thā muqarrar ki mulāqāt rahegī us se
vo to pahuñchā thā magar mujh se hī aayā na gayā
Top Urdushayar.com