ye kis ke soz kā hai bazm-e-jāñ meñ intizār ai dil
ki aaheñ aaj sū-e-ālam-e-bālā nahīñ jātīñ
umīdeñ jab mirī baḌh aa.iiñ to hañs kar lage kahne
ye barsoñ qaid dil meñ rah ke kyuuñ ghabrā nahīñ jātīñ
nahīñ gustāḳh ā.īna muqābil hai khaḌā koī
ye hairāñ hai ki kyuuñ āñkheñ tirī sharmā nahīñ jātīñ
khaḌā huuñ intizār-e-yār meñ juuñ shāḳh-e-nargis maiñ
mujhe hairat hai kyuuñ āñkheñ mirī pathrā nahīñ jātīñ
tire gulshan meñ tāroñ kī bahār ik hai ajab jaadū
ye kaliyāñ phuul ban kar ai falak kumhlā nahīñ jātīñ
'humāyūñ' terā dil bhī gulshan-e-hasrat kā naġhma hai
ḳhushī meñ bhī tirī bāteñ vo ġham-afzā nahīñ jātīñ