Shah Deen  Humayun

kyun musht-e-KHak par koi dil daghdar ho

Shah Deen Humayun

Baghbanpura, Punjab, Pakistan

1868-1918
kyuuñ musht-e-ḳhāk par koī dil dāġhdār ho
mar kar bhī ye havas ki hamārā mazār ho
baḌh jaa.e ġham kā silsila kohsār kī tarah
tūlānī gar ye zindagi-e-musta.ār ho
is said-gāh meñ vahī niklegā bach ke saaf
jo said sab se pahle ajal kā shikār ho
us bul-havas kī maut ke qurbān jā.iye
jo phir dobāra jiine kā ummīd-vār ho
hastī kā tauq to hai qayāmat pas-e-vafāt
yā-rab kahīñ ye mere gale kā na haar ho
yaksāñ hai ahl-e-dil ke liye imbisāt-o-ġham
bāġh-e-jahāñ meñ aa.e ḳhizāñ yā bahār ho
Top Urdushayar.com