Janan Malik

peD par jaane kis ka dhyan paDa

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
peḌ par jaane kis kā dhyān paḌā
ek patthar kahīñ se aan paḌā
ek hijrat to mujh ko thī darpesh
hijr bhī us ke darmiyān paḌā
ye shab-e-tār-tār merī ridā
ye sitāroñ kā sā.ebān paḌā
ek palḌe meñ rakh diyā tujh ko
dūsre meñ thā ik jahān paḌā
kaisī Thokar lagī ye sapne meñ
aañkh par kis kā ye nishān paḌā
ek muTThī meñ phir zamīñ simTī
ek aañsū meñ āsmān paḌā
zindagī yaad aa ga.ī mujh ko
phir tirī samt merā dhyān paḌā
tū ne nām-o-nishāñ diyā mujh ko
merā honā thā be-nishān paḌā
girte rahte haiñ is meñ shām-o-sahar
bhartā rahtā hai ḳhāk-dān paḌā
ye hai kashtī vajūd kī 'jānāñ'
ye phaTā dil kā bādbān paḌā
Top Urdushayar.com