naddī ye jaise mauj meñ dariyā se jā mile
tum se kahīñ milūñ maiñ agar rāsta mile
miltī hai ek saañs kī mohlat kabhī kabhī
shāyad ye raat bhī tirī sub.hoñ se jā mile
jo bhī milā vo apnī anā kā asiir thā
insāñ ko DhūñDne meñ ga.ī to ḳhudā mile
is ahd-e-intishār meñ kyā ittifāq hai
dard-o-alam ye rañj-o-malāl ek jā mile
dil meñ zarā ḳhulūs na mehr-o-vafā kā rañg
rasman bahut aziiz bahut aqrabā mile
merī shikast meñ mire kuchh mehrbāñ bhī the
merī safeñ jo chhoḌ ke dushman se jā mile
us samt se bhī guzre na.ī rut kā kārvāñ
ġhāroñ ke bāsiyoñ ko bhī taaza havā mile
'jānāñ' ye zindagī ke ajab sānehāt haiñ
kuchh log apne-āp se aksar ḳhafā mile