Janan Malik

kabhi to sochna tum un udas aankhon ka

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
kabhī to sochnā tum un udaas āñkhoñ kā
ye ratjagoñ meñ ghirī mahv-e-yās āñkhoñ kā
maiñ ghar ga.ī thī kahīñ vahshatoñ ke jañgal meñ
thā ik hujūm mire aas paas āñkhoñ kā
barahnagī tire andar kahīñ panaptī hai
libās DhūñD koī be-libās āñkhoñ kā
tumhāre hijr kā mausam hī raas aayā mujhe
yahī thā ek tabī.at-shanās āñkhoñ kā
usī kī nazr sabhī ratjage sabhī nīndeñ
aur us kī āñkhoñ ke naam iqtibās āñkhoñ kā
paḌī rahe tirī tasvīr sāmne yūñhī
ye zar khilā rahe āñkhoñ ke paas āñkhoñ kā
ḳhayāl thā ki vo abr is taraf se guzregā
so ye bhī 'jānāñ' thā vahm-o-qayās āñkhoñ kā
Top Urdushayar.com