hameñ sab ahl-e-havas nā-pasand rakhte haiñ
ki ham navā-e-mohabbat buland rakhte haiñ
isī liye to ḳhafā haiñ sitam-shi.ār ki ham
nigāh-e-narm o dil-e-dardmand rakhte haiñ
agarche dil vahī raj.at-pasand hai apnā
magar zabān taraqqī-pasand rakhte haiñ
ham aise arsh-nashīnoñ se vo daraḳht achchhe
jo āñdhiyoñ meñ bhī sar ko buland rakhte haiñ
chale ho dekhne 'mushtāq' jin ko pichhlī raat
vo log shaam se darvāza band rakhte haiñ