din ke saath utar jaatī huuñ
shaam ke paar Thahar jaatī huuñ
us se bichhaḌne ke us pal ko
sochtī huuñ to mar jaatī huuñ
sahrā jitnī pyaas hai merī
aur ik buuñd se bhar jaatī huuñ
merā haath ye pakḌe rahnā
maiñ ḳhvāboñ meñ Dar jaatī huuñ
miyāñ mohammad maiñ to apnī
gāgar bhar ke ghar jaatī huuñ
apne aap se haath chhuḌā kar
maiñ kin rastoñ par jaatī huuñ