tez havā aur shab-bhar bārish
indr chup aur bāhar bārish
aise pahle kab barsī thiiñ
āñkheñ aur barābar bārish
sahrā to pyāse kā pyāsā
aur bhare dariyā par bārish
is sur-tāl kā aur mazā thā
kachche ghar kī chhat par bārish
jhuum rahe haiñ bhiig rahe haiñ
peḌ parinde manzar bārish
maiñ ne bādal ko bhejī thī
ik kāġhaz par likh kar bārish
mere ashkoñ se likkhe ko
vo paḌhtā hai aksar bārish
kaun ye dekhe dīda-e-pur-nam
ik bārish ke andar bārish
yaad bahut aate haiñ 'jānāñ'
haath meñ haath aur sar par bārish