mirā banñā-sañvarnā apnī jā hai
tirā dukh to vagarna apnī jā hai
bahut bardāsht hai dīvār-o-dar kī
kahāñ us ghar meñ varna apnī jā hai
maiñ misl-e-sañg-e-kohsār-e-garāñ huuñ
mire andar kā jharnā apnī jā hai
bajā hai chādar-e-shab kī damak bhī
sitāroñ kā bikharnā apnī jā hai
ye dariyā apnī rau meñ bah rahā hai
kisī kā jīnā-marnā apnī jā hai
guzargāh-e-zamāna bhī hai lekin
tirā dil se guzarnā apnī jā hai
hasīñ va.ade kiye the us ne 'jānāñ'
unheñ iifā na karnā apnī jā hai