Janan Malik

din ki jaanib kabhi us raat se rasta nikle

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
din kī jānib kabhī us raat se rasta nikle
baaġh kī samt bhī fōtpath se rasta nikle
shāyad ik aur mulāqāt kī ummīd bañdhe
ik sar-e-rāh mulāqāt se rasta nikle
maiñ bhī ab DhūñDhtī rahtī huuñ bahāne kyā kyā
us se kuchh baat karūñ baat se rasta nikle
ain mumkin hai ye duniyā kā ho markaz mirī zaat
mujh tak aa.e jo samāvāt se rasta nikle
shahr ke raste kahīñ shahr meñ kho jaate haiñ
shahr ko ab koī dehāt se rasta nikle
khul ke ro luuñ to ye dīvār haTe duurī kī
abr barse to ye barsāt se rasta nikle
mujh ko us maat kā afsos nahīñ hai 'jānāñ'
jiit kī samt jo us maat se rasta nikle
Top Urdushayar.com