Janan Malik

ek mahal tha raja ka ek raj-kumari hoti thi

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
ek mahal thā raaja kā ik rāj-kumārī hotī thī
us raaja ko apnī parjā jaan se pyārī hotī thī
baabā kahte ye jo khañDar hai sītā-rām kā mandir thā
us mandir kī ek pujāran rām-dulārī hotī thī
pushpā aur rādhā bhī donoñ merī bahneñ hotī thiiñ
mañgal-dās aur merī beTā gahrī yaarī hotī thī
ek diye kī lau meñ baabā 'mīr' aur 'ġhālib' paḌhte the
ek añgeThī hotī thī aur ik almārī hotī thī
shaam Dhale ik lawn meñ saare baiTh ke chaa.e piite the
mez hamārā ghar kā thā kursī sarkārī hotī thī
ek kuaañ mīThe paanī kā aur ik būḌhā bargad thā
ek mohabbat kā gahvāra bastī saarī hotī thī
mīThe gītoñ kī vo risnā mīThī dhun aur mīThe bol
pūran-māshī par āñgan meñ shab-bedārī hotī thī
ab jo mullā vaa.iz kare to ḳhauf sā aane lagtā hai
mohan-dās se na.ateñ sun kar riqqat taarī hotī thī
rishtoñ kā ehsās lahū ke andar rachtā-bastā thā
kab aisī nafsā-nafsī aur mārā-mārī hotī thī
Top Urdushayar.com