Janan Malik

bas ek dhoka rah jata hai

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
bas ik dhokā rah jaatā hai
banda tanhā rah jaatā hai
dekhe dekhe manzar meñ bhī
kuchh an-dekhā rah jaatā hai
niiñd mukammal karte karte
ḳhvāb adhūrā rah jaatā hai
shaam Dhale us peḌ pe tanhā
ek parinda rah jaatā hai
peḌ agar kaT bhī jaa.e to
peḌ kā saayā rah jaatā hai
ik lamhe kī tah meñ rakkhā
ek zamāna rah jaatā hai
tum to kyā kyā gañvā dete ho
ham se kyā kyā rah jaatā hai
hijrat karne vāloñ dekho
pīchhe malba rah jaatā hai
log to paar utar jaate haiñ
dariyā dekhtā rah jaatā hai
bādal dekh ke chal dete haiñ
sahrā pyāsā rah jaatā hai
āḳhirī bas kā ek musāfir
shab-bhar baiThā rah jaatā hai
kab paḌtā hai us kā paañv
rasta dekhtā rah jaatā hai
baat kuchh aur nikal aatī hai
sab kuchh sochā rah jaatā hai
'jānāñ' ik tasvīr na ho to
kamra suunā rah jaatā hai
Top Urdushayar.com