aañkh Tiktī na thī chehre pe hasīn aisā thā
dil kī duniyā meñ koī jalva-nashīn aisā thā
dastaras meñ thī magar pā na sakā vo mujh ko
dil meñ ik umr se vo shaḳhs makīn aisā thā
ahd-o-paimāñ se mukarne kā salīqa thā use
detā rahtā thā dalīleñ vo zahīn aisā thā
ab to banjar huā vīrāñ huā barbād huā
ḳhitta-e-dil kabhī shādāb-zamīn aisā thā
mujh ko jāgīr samajhtā thā vo apnī jānāñ
maiñ usī kī huuñ use mujh pe yaqīn aisā thā