Janan Malik

kis ki khoi hui hansi thi main

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
kis kī khoī huī hañsī thī maiñ
kis ke hoñToñ pe aa ga.ī thī maiñ
kin zamānoñ pe munkashif huī huuñ
kin zamānoñ kī raushnī thī maiñ
maiñ kisī shaḳhs kī udāsī thī
sard lahje meñ boltī thī maiñ
din Dhale lauTte parindoñ ko
ghar kī khiḌkī se dekhtī thī maiñ
kaash ik baar dekh lete tum
rāste meñ paḌī huī thī maiñ
ab jo afsurdagī kī chādar huuñ
mausam-e-gul kī oḌhnī thī maiñ
ḳhud ko daryāft karne niklī huuñ
ya.anī ḳhud se kahīñ ḳhafī thī maiñ
gungunātā thā shab ke pichhle pahar
jaane kis dil kī rāgnī thī maiñ
phir december thā sard rāteñ thiiñ
shahr sotā thā jāgtī thī maiñ
us ne jab haath haath par rakkhā
surḳh phūloñ se bhar ga.ī thī maiñ
aaj dekhā thā aa.ina maiñ ne
aur phir der tak hañsī thī maiñ
jaane kyā baat yaad aa.ī mujhe
hañste hañste jo ro paḌī thī maiñ
maiñ ne ik shaam pā liyā thā use
us se ik raat kho ga.ī thī maiñ
jāntā kaun mujh ko mere sivā
ghar ke andar bhī ajnabī thī maiñ
merī parteñ nahīñ khulīñ ab tak
devtāoñ kī shā.irī thī maiñ
ḳhud se Takrā ga.ī thī 'jānāñ' kahīñ
apne raste meñ aa ga.ī thī maiñ
Top Urdushayar.com