Ahmad Mushtaq

KHair auron ne bhi chaha to hai tujh sa hona

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ḳhair auroñ ne bhī chāhā to hai tujh sā honā
ye alag baat ki mumkin nahīñ aisā honā
dekhtā aur na Thahartā to koī baat bhī thī
jis ne dekhā hī nahīñ us se ḳhafā kyā honā
tujh se duurī meñ bhī ḳhush rahtā huuñ pahle kī tarah
bas kisī vaqt burā lagtā hai tanhā honā
yuuñ merī yaad meñ mahfūz haiñ tere ḳhad-o-ḳhāl
jis tarah dil meñ kisī shai kī tamannā honā
zindagī marka-e-rūh-o-badan hai 'mushtāq'
ishq ke saath zarūrī hai havas kā honā
Top Urdushayar.com