Janan Malik

dekhiye kitne suKHan-fahm suKHan-war aae

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
dekhiye kitne suḳhan-fahm suḳhan-var aa.e
maiñ ne ik phuul uThāyā ka.ī patthar aa.e
kar chuke tark-e-ta.alluq to use sochnā kyā
dil se niklā hai to vo yaad bhī kyuuñ kar aa.e
phir vahī raat ho bādal hoñ havā chaltī ho
phir vahī chāñd daraḳhtoñ se nikal kar aa.e
raah hamvār muqaddar meñ nahīñ thī shāyad
paañv niklā thā abhī ghar se ki patthar aa.e
ek do gām-e-masāfat thī tirī galiyoñ kī
saarī duniyā kī thakan laad ke ham ghar aa.e
jañg jaarī hai abhī jāgte rahiye shab-bhar
jaane kas oT se chhup kar koī lashkar aa.e
kyā koī ġham ke gañvāne kā hunar haath aayā
muskurāte hue jo rañj ke ḳhūgar aa.e
dekh kar jis kī jhalak jaan meñ jaan aatī thī
ab sar-e-rāh use dekh ke chakkar aa.e
is baras phuul zyāda na sahī shāḳhoñ par
bārisheñ kam thiiñ magar rañg barābar aa.e
ab to is niiñd meñ chalte hue uktā ga.e ham
ab to behtar hai kisī moḌ pe Thokar aa.e
ek do pal to farāmosh bhī kar deñ us ko
haañ agar shaḳhs koī yaad barābar aa.e
ġham-gusāroñ meñ mire chāragaroñ meñ aksar
mere dushman bhī ka.ī bhes badal kar aa.e
log kis ḳhvāb se rote hue uThe 'jānāñ'
jaane kis qarya-e-mātam se ye bāhar aa.e
Top Urdushayar.com