Janan Malik

tez hawa ke jhonke shab-bhar Takraate hain peDon se

Janan Malik

Sargodha, Punjab, Pakistan

1987
tez havā ke jhoñke shab-bhar Takrāte haiñ peḌoñ se
kitne patte aañsū ban kar girte haiñ in shāḳhoñ se
maiñ bhī tanhā baiThī terī soch meñ Duubī rahtī huuñ
tum bhī bāteñ karte hoge apne milne vāloñ se
kirneñ bistar tak aatī haiñ TuuTe ḳhvāb uThāne ko
andar ke dukh kab chhupte haiñ in khiḌkī ke pardoñ se
dīvāroñ se uktā.ūñ to dhyān baTānā paḌtā hai
ḳhush hotī huuñ bāteñ kar ke galī meñ khelte bachchoñ se
almārī ke ik ḳhāne meñ yaad kisī kī rakkhī aur
us kī chābī laTkā dī hai ātī-jātī sāñsoñ se
jaane vaale jaise jaate haiñ vaise kab aate haiñ
āñkheñ vīrāñ ho jaatī haiñ bāteñ kartī rastoñ se
tez havā se Takrāne meñ ek hunar thā kashtī kā
log tamāsha dekh rahe the baiThe duur kināroñ se
ab to us se mil kar dekhūñgī vo kaisā lagtā hai
phūloñ sī ḳhushbū aatī hai 'jānāñ' jis kī bātoñ se
Top Urdushayar.com