shaam Dhalte der tak chhat par khaḌī rahtī huuñ maiñ
Dūbte sūraj ko jānāñ dekhtī rahtī huuñ maiñ
kaisī kaisī uljhanoñ meñ ab paḌī rahtī huuñ maiñ
jaane kyā kyā dekhtī aur sochtī rahtī huuñ maiñ
koī zer-e-lab hamesha gungunātā hai mujhe
maiñ kisī ke dil kī huuñ aur an-kahī rahtī huuñ maiñ
ek duniyā kā safar hai us ke mere darmiyāñ
fāsle hī fāsle haiñ nāptī rahtī huuñ maiñ
kaisā bādal hai lipaT jaatā hai mujh se ḳhvāb meñ
kaisī bārish hai ki shab bhar bhīgtī rahtī huuñ maiñ
sāneha kyā thā tamīz-e-farhat-o-ġham miT ga.ī
ab koī rut ho hamesha ek sī rahtī huuñ maiñ
ik sitāra der tak kartā hai mujh se guftugū
vo nahīñ sotā so jānāñ jāgtī rahtī huuñ maiñ