vo sāmne hoñ mire aur nazar jhukī na rahe
matā-e-zīst luTā kar koī kamī na rahe
diye jalā.e haiñ maiñ ne khule darīchoñ par
ai tund-o-tez havā tujh ko barhamī na rahe
batāo aisā bhī manzar nazar se guzrā hai
charāġh jalte raheñ aur raushnī na rahe
koī bhī lamha guzartā nahīñ hai tere baġhair
ta.alluqāt meñ aisī bhī chāshnī na rahe
hamāre hausle ko dekh kar ye kahte ho
zabān band rahe aañkh meñ namī na rahe
mile jo raushnī tujh se to zulmateñ kam hoñ
ki tere ba.ad mirī jaan zindagī na rahe
laboñ pe aa gayā dam apnā habs mausam meñ
havā-e-abar-e-bahārāñ yūñhī thamī na rahe