Shahnaz Muzammil

gham mujhse kisi taur sameTa nahin jata

Shahnaz Muzammil

Faisalabad, Punjab, Pakistan

ġham mujh se kisī taur sameTā nahīñ jaatā
pahrā hai mirī soch pe bolā nahīñ jaatā
ab dil ke dhaḌakne kī sadā bhī nahīñ aatī
aur qarya-e-ḳhvāhish se bhī niklā nahīñ jaatā
sajde ke nishānoñ se jabīñ zaḳhm huī hai
aur tujh se muqaddar mirā badlā nahīñ jaatā
sūraj ke nikalne kī ḳhabar mujh ko bhī karnā
zulmat-kada-e-shab meñ to Thahrā nahīñ jaatā
āñkhoñ meñ chhupe ḳhvāb bhī chhin jaa.eñ na mujh se
is ḳhauf se rauzan koī kholā nahīñ jaatā
har roz nasheman pe mire girtī hai bijlī
ghar mujh se nayā roz banāyā nahīñ jaatā
ham apnī anāoñ kā bharam rakhte haiñ 'shahnāz'
har baat pe tūfān uThāyā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com