kabhī yād-e-ḳhudā kabhī ishq-e-butāñ yūñhī saarī umr gañvā baiThā
ab āḳhir-e-umr meñ aa ke khulā na thī ye sachchī na thā vo sachchā
kabhī ḳhvāhish-e-duniyā le Duubī kabhī ḳhauf-e-ḳhudā ne tañg kiyā
ab aa kar bhed khulā ham par na thī ye achchhī na thā vo achchhā
sar par gaThrī añgāroñ kī aur ḳhvāhish paar utarne kī
aage bārīk sā nāzuk pul aur nīche aag kā ik dariyā
kuchh uqde aise hote haiñ jo na hī khuleñ to behtar hai
kuchh bāteñ aisī hotī haiñ jinheñ dil meñ chhupā lenā achchhā
vo mirzā agle vaqtoñ kā vo sāhebāñ guzre vaqtoñ kī
jo karnā thā vo kar guzre jo kahnā thā vo kah dekhā
ajdād kahīñ tum hal Daalo aur fasl ugaao karmoñ kī
pīchhe tārīḳh kā hāñkā hai aur aage bail Darā sahmā