Fayyaz tahseen

ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna

Fayyaz tahseen

ab aa ga.e ho to raftagāñ ko bhī yaad rakhnā
bichhaḌte lamhoñ kī dāstāñ ko bhī yaad rakhnā
zamīñ pe apne qadam jamā kar na bhuul jaanā
saroñ pe Thahre is āsmāñ ko bhī yaad rakhnā
havā-e-tishna kā chhīn lenā makīn-e-jāñ ko
magar larazte hue makāñ ko bhī yaad rakhnā
sarāb āḳhir mirī hī āñkhoñ kā mo.ajaza hai
yaqīñ kī manzil meñ is gumāñ ko bhī yaad rakhnā
agarche ḳhvāhish kā aks lafzoñ meñ aa gayā hai
jo chashm-e-tar meñ hai is zabāñ ko bhī yaad rakhnā
tujhe ḳhabar hai ki ibtidā bhī hai intihā bhī
jahān-e-ma.anī meñ darmiyāñ ko bhī yaad rakhnā
kabhī jo aiboñ ke tiir ghā.el kareñ nazar ko
to ḳhvāhishoñ kī jhukī kamāñ ko bhī yaad rakhnā
Top Urdushayar.com