tamāshā phir sar-e-bāzār karnā
phir apne ahd se inkār karnā
yahī hai mashġhala kār-e-junūñ meñ
banānā phir use mismār karnā
fareb-e-ārzū hī zindagī hai
sarāboñ meñ safar be-kār karnā
jise paane kī ḳhvāhish meñ jiye the
usī kī zaat kā inkār karnā
jazīre ḳhvāhishoñ kī raah meñ haiñ
magar lāzim samundar paar karnā
jise ik umr kī kāvish se bhūle
usī kī yaad pur-asrār karnā
darīchoñ se lagī āñkhoñ kī sūrat
kabhī chhupnā kabhī iz.hār karnā
abhī ik āḳhirī sach bolnā hai
ḳhushī se phir supurd-dār karnā