Ahmad Mushtaq

chamak-damak pe na jao khari nahin koi shai

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
chamak-damak pe na jaao kharī nahīñ koī shai
sivā.e shāḳh-e-tamannā harī nahīñ koī shai
dil-e-gudāz o lab-e-ḳhushk o chashm-e-tar ke baġhair
ye ilm o fazl ye dānish-varī nahīñ koī shai
to phir ye kashmakash-e-dil kahāñ se aa.ī hai
jo dil-giraftagī o dilbarī nahīñ koī shai
ajab haiñ vo ruḳh o gesū ki sāmne jin ke
ye sub.h o shaam kī jādūgarī nahīñ koī shai
malāl-e-sāya-e-dīvār-e-yār ke aage
shab-e-tarab tirī nīlam-parī nahīñ koī shai
jahān-e-ishq se ham sarsarī nahīñ guzre
ye vo jahāñ hai jahāñ sarsarī nahīñ koī shai
tirī nazar kī gulābī hai shīsha-e-dil meñ
ki ham ne aur to is meñ bharī nahīñ koī shai
Top Urdushayar.com