zindagī zauq-e-parastish kī sazā māñge hai
kāñch ke ka.abe meñ patthar kā ḳhudā māñge hai
aaj phir apne payambar kī panāhoñ ke liye
ahd-e-āshob koī ġhār-e-hirā māñge hai
zindagī aaj hai insān kī to misl-e-qafas
umr-e-paiham ke liye apnī chitā māñge hai
husn-kārī ke liye aaj ye dildār-e-suḳhan
rañg-e-ḳhūñ aur zarā bū-e-hinā māñge hai
minnat-e-gosh nahīñ qāfila-e-vaqt-e-'sahar'
lamha lamha vo magar bāñg-e-darā māñge hai