duniyā ajiib khel tamāshā lage mujhe
har aadmī hujūm meñ tanhā lage mujhe
gūñge mujāhidoñ kā ye Thahrā huā julūs
parchhā.iyoñ kā ek jazīra lage mujhe
bāzār-e-sañg-o-ḳhisht meñ sau nāzukī ke saath
apnī hayāt kāñch kī guḌiyā lage mujhe
sūraj-mukhī kī tarah badaltī hai ruḳh hayāt
jab āftāb-e-vaqt ubhartā lage mujhe
is darja mauj-e-ḳhūñ hai ragoñ meñ sharar-fishāñ
umr-e-ravāñ to aag kā dariyā lage mujhe
pau phūTte hī duur nikal jā.ūñgā 'sahar'
sansār ek rain-baserā lage mujhe